Zameen Kharidne Se Pehle Kaun Se Kaagaz Zaroor Dekhein
- Sabse pehle: kaagaz hi asli maalik batate hain
- 1. Khatauni (kiska naam hai)
- 2. Khasra aur shajra (plot kahan hai)
- 3. Rasta (ye sabse zyada jhagda karwata hai)
- 4. Dakhil-kharij (mutation) ka itihaas
- 5. Circle rate aur stamp duty
- 6. Uttarakhand me kya alag hai
- Kharidne se pehle ka chhota checklist
- Sawaal-jawab
Sabse pehle: kaagaz hi asli maalik batate hain
Zameen ke saude me sabse aam galti ye hoti hai ki log zameen dekh lete hain, kaagaz nahi. Bechne wala boundary dikha deta hai, do padosi haami bhar dete hain, aur baat pakki ho jaati hai. Fir do saal baad koi teesra aadmi aakar kehta hai ki us plot me uska bhi hissa hai.
Pahad me ye aur zyada hota hai, kyunki wahan zameen aksar batwara hue bina peedhiyon se chali aati hai. Ek khasra number par teen bhaiyon ka naam, aur bechne ek hi aaya hai. Kaagaz me ye saaf dikhta hai — zameen par nahi.
1. Khatauni (kiska naam hai)
Khatauni gaon ke land record ka wo panna hai jisme likha hota hai ki kis khasra number par kiska naam darj hai aur kitna hissa hai. Zyadatar rajya ka bhulekh portal online hai, wahan se khatauni nikal jaati hai.
Isme ye dekhna hai:
- Bechne wale ka naam sach me darj hai ya nahi
- Uska hissa kitna hai — poora plot ya sirf ek tihai
- Aur koi naam to nahi (bhai, chachera bhai, maa)
- Neeche ke hisse me koi bandhak (loan) ya vivaad ki entry to nahi
Agar ek se zyada naam hain, to sabhi ka registry me hona zaroori hai. Ek bhai ki dastkhat kam hui to baad me poora sauda phans jaata hai.
2. Khasra aur shajra (plot kahan hai)
Khasra number plot ki pehchaan hai. Shajra uska naksha hai — usme plot ka aakaar aur aas-paas ke khasra number dikhte hain.
Shajra dekhna isliye zaroori hai kyunki khatauni sirf rakba batati hai, aakaar nahi. Ek bigha zameen chaukor bhi ho sakti hai aur pattī jaisi lambi-patli bhi. Lambi-patli zameen par ghar banana mushkil hota hai, aur uski asli keemat kam hoti hai — chahe rakba wahi ho.
Rakbe ko square feet me badalne ke liye Bigha Converter aur Uttarakhand ke liye nali-mutthi wala page dekh lein.
3. Rasta (ye sabse zyada jhagda karwata hai)
Ye wo point hai jo zyadatar log poochhte hi nahi. Plot tak kaanooni raasta hai ya nahi? Kai baar zameen kisi aur ke khet ke beech se pahunchti hai, aur wo raasta sirf "aapas ki samajh" par chal raha hota hai. Naya maalik aane par wo samajh khatam ho jaati hai.
Shajra me raasta dikhta hai ya nahi, ye zaroor dekhein. Agar nahi dikhta to likhit me raaste ka adhikaar registry me shaamil karwaana chahiye. Ye ek line baad ke saalon ka jhagda bacha leti hai.
4. Dakhil-kharij (mutation) ka itihaas
Registry ke baad naam badalne ki prakriya ko dakhil-kharij ya mutation kehte hain. Sirf registry ho jaana kaafi nahi — jab tak record me naam nahi badla, sarkari kaagaz me maalik purana hi rehta hai.
Kharidne se pehle dekhein ki bechne wale ka mutation poora hua hai ya nahi. Agar usne khud khareedi thi par mutation nahi karwaya, to aapki registry ke baad chain toot jaayegi aur baad me theek karwana lamba kaam hai.
5. Circle rate aur stamp duty
Stamp duty sauda ke daam par nahi, circle rate par lagti hai — ya jo bhi in dono me zyada ho. Har zile ka circle rate alag hota hai aur samay-samay par badalta hai.
Iska matlab ye bhi hai ki kaagaz me daam kam dikhane ka koi fayda nahi hota — stamp duty phir bhi circle rate par hi lagegi, aur kam dikhana kaanoonan galat bhi hai.
Kai rajyon me mahila ke naam par registry karane par stamp duty me chhoot milti hai. Apne zile ka current rate registrar office ya rajya ke portal se confirm kar lein.
6. Uttarakhand me kya alag hai
Pahadi rajyon me kuch cheezein khaas hain:
- Bahar ke logon par zameen kharidne ki paabandi — Uttarakhand me bahar ke rajya ke log kitni krishi/aawasiya zameen kharid sakte hain, ispar niyam hain aur ye badalte rehte hain. Sauda karne se pehle current niyam confirm karein.
- Krishi bनाम gair-krishi — kheti ki zameen par seedha ghar nahi ban sakta. Pehle bhoo-upyog parivartan (land use change) karwana padta hai, jisme samay aur paisa dono lagta hai.
- Naap ka tarika — pahad me rakba hamesha upar se dekhi gayi jagah ka hota hai, dhalaan ka nahi. Isliye zameen par tape se naapne par number zyada aata hai. Ye galti nahi hai, tarika hi aisa hai.
Zameen se judi sarkari registration ke liye Uttarakhand Farmer ID (UKFR) aur AgriStack guide bhi kaam ki hain.
Kharidne se pehle ka chhota checklist
- Bhulekh portal se khatauni nikaal kar naam aur hissa milaayein
- Shajra dekh kar aakaar aur padosi khasra confirm karein
- Raasta shajra me hai ya nahi, ye poochhein
- Patwari se paimaish karwaayein — kaagaz ka rakba aur zameen ka naap milaayein
- Bechne wale ka mutation poora hai ya nahi, dekhein
- Bank se bandhak (loan) ki entry check karwaayein
- Zile ka circle rate nikaal kar stamp duty ka andaza laga lein
- Registry se pehle poora paisa kabhi na dein
Saaf baat: hum vakeel nahi hain aur ye kaanooni salah nahi hai. Zameen ka har mamla alag hota hai. Registry se pehle apne ilaake ke acche vakeel ya patwari se ek baar kaagaz dikha lena — jitna kharcha usme aata hai, uske aage baad ka jhagda bahut mehnga hai.
Aksar pooche jaane wale sawaal
Khatauni online kahan se milti hai?
Zyadatar rajyon ka apna bhulekh/bhulex portal hai jahan zila, tehsil aur gaon chun kar khatauni dekhi ja sakti hai. Online copy jaankari ke liye theek hai, par kaanooni kaam ke liye tehsil se prmaanit copy leni hoti hai.
Sirf registry kaafi nahi hoti kya?
Nahi. Registry ke baad dakhil-kharij (mutation) karwana zaroori hai, tabhi sarkari record me aapka naam aata hai. Bina mutation ke aage bechne ya loan lene me dikkat aati hai.
Ek khasra par kai naam hain to kya karein?
Sabhi hissedaaron ka registry me shaamil hona zaroori hai. Agar batwara ho chuka hai to batware ka kaagaz dekhein. Ek bhi hissedar chhoot gaya to sauda baad me chunauti me aa sakta hai.
Stamp duty kis par lagti hai — sauda daam ya circle rate?
Jo dono me zyada ho, us par. Isliye circle rate pehle se pata karna zaroori hai warna budget bigad jaata hai.
Kheti ki zameen par ghar bana sakte hain?
Seedha nahi. Pehle bhoo-upyog parivartan karwana padta hai. Iske niyam aur fees har rajya me alag hain, apne tehsil se confirm karein.
Niyam aur rate badalte rehte hain. Bade faisle se pehle seedha yahan dekh lein: